mujh ishq ko hawas bhari nazren ata kare
mujh 'ishq ko havas bharī nazreñ 'atā kare
insān se ye ho nahīñ saktā ḳhudā kare
jab tāliyoñ kā zor zamānat ho jiit kī
kartā vahī hai shaah jo ḳhvāja-sarā kare
in masḳharoñ ko aap to aatī nahīñ hañsī
martā hai koī un kī balā se marā kare
banda bhī to banā hai kisī kaam ke liye
ye kyā ki ab to jo bhī kare bas ḳhudā kare
ḳhush ho ke apnā kaun sā nuqsān ho gayā
rū-e-suḳhan kisī kī taraf vo kiyā kare
do ik gunāh bhī kare ye aadmī ki bas
tā-'umr maġhfirat ke liye hī du'ā kare
mujh 'ishq ko hawas bhari nazren 'ata kare
insan se ye ho nahin sakta KHuda kare
jab taliyon ka zor zamanat ho jit ki
karta wahi hai shah jo KHwaja-sara kare
in masKHaron ko aap to aati nahin hansi
marta hai koi un ki bala se mara kare
banda bhi to bana hai kisi kaam ke liye
ye kya ki ab to jo bhi kare bas KHuda kare
KHush ho ke apna kaun sa nuqsan ho gaya
ru-e-suKHan kisi ki taraf wo kiya kare
do ek gunah bhi kare ye aadmi ki bas
ta-'umr maghfirat ke liye hi du'a kare
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 41)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.