mujhko aata nahin auron ko jo pyar aata hai
mujh ko aatā nahīñ auroñ ko jo pyaar aatā hai
ḳhud-numā.ī se mire dil meñ ġhubār aatā hai
dil hai merā jo yahāñ shefta-vār aatā hai
umr apnī tire kūche meñ guzār aatā hai
saath miTTī ke hue aag havā aur paanī
aadmī chaar ke kāñdhe pe savār aatā hai
kis ke jaane se ḳhizāñ luuT gayā gulshan-e-shauq
kaun aayā ki mujhe lutf-e-bahār aatā hai
qalb-e-muztar ko uThā lā.ūñgā ik roz yahāñ
maiñ bhī dekhūñgā tumheñ kaise qarār aatā hai
shauq-e-sajda ko qarīne se sajā kar 'rāzī'
bār-e-hastī tire qadmoñ pe utaar aatā hai
mujh ko aata nahin auron ko jo pyar aata hai
KHud-numai se mere dil mein ghubar aata hai
dil hai mera jo yahan shefta-war aata hai
umr apni tere kuche mein guzar aata hai
sath miTTi ke hue aag hawa aur pani
aadmi chaar ke kandhe pe sawar aata hai
kis ke jaane se KHizan luT gaya gulshan-e-shauq
kaun aaya ki mujhe lutf-e-bahaar aata hai
qalb-e-muztar ko uTha launga ek roz yahan
main bhi dekhunga tumhein kaise qarar aata hai
shauq-e-sajda ko qarine se saja kar 'raazi'
bar-e-hasti tere qadmon pe utar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.