mujhko ab ishq ke idrak se Dar lagta hai
mujh ko ab 'ishq ke idrāk se Dar lagtā hai
ab to har jazba-e-bebāk se Dar lagtā hai
gardish-e-vaqt ne vo zaḳhm diye haiñ ki mujhe
raqs karte hue har chaak se Dar lagtā hai
kyā ḳhabar kaun se safhe kā likhā le Duube
is liye daftar-e-aflāk se Dar lagtā hai
narm lafzoñ se banā tanz bharā pahnāvā
aadmī kī isī poshāk se Dar lagtā hai
jis kī taḳhlīq huī ḳhaak se hairat ye hai
maut ke Dar se use ḳhaak se Dar lagtā hai
fasl kāñToñ kī ugī aisī chaman meñ is baar
sehn-e-gul ke ḳhas-o-ḳhāshāk se Dar lagtā hai
us kī qurbat kā fusūñ soch badaltā hai mirī
dil kī is hālat-e-bebāk se Dar lagtā hai
yaad hai vaqt-e-judā.ī vo namī āñkhoñ kī
ab to har dīda-e-namnāk se Dar lagtā hai
hijr meñ dil mirā ruk ruk ke chalā kartā hai
dil kī is hālat-e-ġhamnāk se Dar lagtā hai
aadmī ko kare arzāñ ho jo fitne kā sabab
aise har jazba-e-saffāk se Dar lagtā hai
mujh ko ab 'ishq ke idrak se Dar lagta hai
ab to har jazba-e-bebak se Dar lagta hai
gardish-e-waqt ne wo zaKHm diye hain ki mujhe
raqs karte hue har chaak se Dar lagta hai
kya KHabar kaun se safhe ka likha le Dube
is liye daftar-e-aflak se Dar lagta hai
narm lafzon se bana tanz bhara pahnawa
aadmi ki isi poshak se Dar lagta hai
jis ki taKHliq hui KHak se hairat ye hai
maut ke Dar se use KHak se Dar lagta hai
fasl kanTon ki ugi aisi chaman mein is bar
sehn-e-gul ke KHas-o-KHashak se Dar lagta hai
us ki qurbat ka fusun soch badalta hai meri
dil ki is haalat-e-bebak se Dar lagta hai
yaad hai waqt-e-judai wo nami aankhon ki
ab to har dida-e-namnak se Dar lagta hai
hijr mein dil mera ruk ruk ke chala karta hai
dil ki is haalat-e-ghamnak se Dar lagta hai
aadmi ko kare arzan ho jo fitne ka sabab
aise har jazba-e-saffak se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.