mujhko apni KHudi se nafrat hai
mujhko apni KHudi se nafrat hai
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
mujh ko apnī ḳhudī se nafrat hai
apnī hastī se hī adāvat hai
kaam aatā nahīñ hai aur ilaaj
vasl hī chāra-sāz-e-furqat hai
ai falak kyā bigāḌā maiñ ne tirā
mujh se kis vāste adāvat hai
maiñ huuñ ai jaañ vafā-shi.ār tirā
zulm karnā to terī aadat hai
ishq kar ke huā huuñ maiñ badnām
dil lagānā bhī ik musībat hai
tū ne itnā bhī to nahīñ pūchhā
in dinoñ kaisī terī hālat hai
nikal aate haiñ qabr se murde
terī Thokar meñ ik qayāmat hai
tauba lab par hai dil meñ shauq-e-sharāb
shaiḳh jī kyā burī ye illat hai
ek majzūb hai jo ḳhāk-nashīñ
arsh-e-a.alā se us ko nisbat hai
ye jo kasrat hai apne pesh-e-nazar
yahī vahdat kī ik alāmat hai
aap ne jo mizāj-pursī kī
aap kī ye baḌī ināyat hai
sohbat-e-bad se ijtināb karo
varna ik roz is meñ zillat hai
ruuTh jaanā zarā sī bātoñ par
bachpane kī tumhārī aadat hai
ḳhauf kyā dushmanī se dushman kī
'shād' par jab ḳhudā kī rahmat hai
mujh ko apni KHudi se nafrat hai
apni hasti se hi adawat hai
kaam aata nahin hai aur ilaj
wasl hi chaara-saz-e-furqat hai
ai falak kya bigaDa main ne tera
mujh se kis waste adawat hai
main hun ai jaan wafa-shiar tera
zulm karna to teri aadat hai
ishq kar ke hua hun main badnam
dil lagana bhi ek musibat hai
tu ne itna bhi to nahin puchha
in dinon kaisi teri haalat hai
nikal aate hain qabr se murde
teri Thokar mein ek qayamat hai
tauba lab par hai dil mein shauq-e-sharab
shaiKH ji kya buri ye illat hai
ek majzub hai jo KHak-nashin
arsh-e-ala se us ko nisbat hai
ye jo kasrat hai apne pesh-e-nazar
yahi wahdat ki ek alamat hai
aap ne jo mizaj-pursi ki
aap ki ye baDi inayat hai
sohbat-e-bad se ijtinab karo
warna ek roz is mein zillat hai
ruTh jaana zara si baaton par
bachpane ki tumhaari aadat hai
KHauf kya dushmani se dushman ki
'shad' par jab KHuda ki rahmat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.