mujhko be-KHwabi ki Tahni par sisakte dekhta rahta hai wo
mujh ko be-ḳhvābī kī Tahnī par sisakte dekhtā rahtā hai vo
apnī hī be-dardiyoñ ko yuuñ mahakte dekhtā rahtā hai vo
sūrat-e-mahtāb rahtā hai mire sar par safar ke saath saath
mujh ko sahrā kī udāsī meñ bhaTakte rahtā hai vo
peḌ kī sūrat khaḌā rahtā hai merī mauj kī sarhad ke paas
mere sar par dhuup ke neze chamakte dekhtā rahtā hai vo
raat thak kar aan girtā hai mire jalte badan kī aañch par
apne aañsū mere gāloñ par Dhalakte dekhtā rahtā hai vo
maiñ vo bosīda sā pairāhan huuñ jo pahnā gayā thā ek baar
mujh ko mahrūmī kī khūñTī par laTakte dekhtā rahtā hai vo
merī hī majbūriyoñ ke zikr se 'nāsik' rulātā hai mujhe
sāmne apne na.e jugnū damakte dekhtā rahtā hai vo
mujh ko be-KHwabi ki Tahni par sisakte dekhta rahta hai wo
apni hi be-dardiyon ko yun mahakte dekhta rahta hai wo
surat-e-mahtab rahta hai mere sar par safar ke sath sath
mujh ko sahra ki udasi mein bhaTakte rahta hai wo
peD ki surat khaDa rahta hai meri mauj ki sarhad ke pas
mere sar par dhup ke neze chamakte dekhta rahta hai wo
raat thak kar aan girta hai mere jalte badan ki aanch par
apne aansu mere galon par Dhalakte dekhta rahta hai wo
main wo bosida sa pairahan hun jo pahna gaya tha ek bar
mujh ko mahrumi ki khunTi par laTakte dekhta rahta hai wo
meri hi majburiyon ke zikr se 'nasik' rulata hai mujhe
samne apne nae jugnu damakte dekhta rahta hai wo
- Book : shab khuun (50) (rekhta website) (Pg. 68)
- Edition : 1970
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.