mujhko be-rahm tabibon se bachaya jae
mujh ko be-rahm tabīboñ se bachāyā jaa.e
ab duā māñgne vāloñ ko bulāyā jaa.e
sirf mahsūs kareñ log magar sun na sakeñ
shor kuchh itnī ḳhamoshī se machāyā jaa.e
ḳhaas logoñ pe jahāñ aane kī ho pābandī
mujh ko us aam sī mahfil meñ bulāyā jaa.e
dard kā bojh uThāte hue ik umr huī
kuchh ḳhushī kā bhī to ehsān uThāyā jaa.e
yuuñ to har baat pe rone kī hai aadat us ko
dil ba-zid hai ke use aaj hañsāyā jaa.e
hai jafākār vo jaa.e to use jaane do
kyoñ bhalā zaḳhm ko nāsūr banāyā jaa.e
'ā.isha' ḳhud se hī maiñ laḌtī rahūñgī kab tak
ab mujhe mere muqābil se haTāyā jaa.e
mujh ko be-rahm tabibon se bachaya jae
ab dua mangne walon ko bulaya jae
sirf mahsus karen log magar sun na saken
shor kuchh itni KHamoshi se machaya jae
KHas logon pe jahan aane ki ho pabandi
mujh ko us aam si mahfil mein bulaya jae
dard ka bojh uThate hue ek umr hui
kuchh KHushi ka bhi to ehsan uThaya jae
yun to har baat pe rone ki hai aadat us ko
dil ba-zid hai ke use aaj hansaya jae
hai jafakar wo jae to use jaane do
kyon bhala zaKHm ko nasur banaya jae
'aisha' KHud se hi main laDti rahungi kab tak
ab mujhe mere muqabil se haTaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.