mujhko biDi na pan de allah
mujh ko biiḌī na paan de allāh
roTī kapḌā makān de allāh
sun luuñ dhar kar vo kaan de allāh
jab mo.azzin azaan de allāh
lakh-pati baap kī vo beTī ho
chāhe būḌhī javān de allāh
apnī begam se laḌ sakūñ kushtī
haath pairoñ meñ jaan de allāh
phīke pakvān maiñ na khā.ūñgā
mujh ko nīchī dukān de allāh
mujh ko rocket bhī na pakaḌ paa.e
itnī ūñchī uḌaan de allāh
kitnā kamzor ho gayā dūlhā
anDā halva-o-nān de allāh
umr us kī tū muḳhtasar kar de
jis ko lambī zabān de allāh
vo to sūrat se bhuut lagtā hai
us ko marghaT masān de allāh
āsmāñ ko to taan rakkhā hai
merā tambū bhī taan de allāh
kachche DhūñDe meñ kyoñ rahe dilbar
taaj jaisā makān de allāh
kaise 'muḳhtār' ban gayā shā.ir
kaun apnā bayān de allāh
mujh ko biDi na pan de allah
roTi kapDa makan de allah
sun lun dhar kar wo kan de allah
jab moazzin azan de allah
lakh-pati bap ki wo beTi ho
chahe buDhi jawan de allah
apni begam se laD sakun kushti
hath pairon mein jaan de allah
phike pakwan main na khaunga
mujh ko nichi dukan de allah
mujh ko rocket bhi na pakaD pae
itni unchi uDan de allah
kitna kamzor ho gaya dulha
anDa halwa-o-nan de allah
umr us ki tu muKHtasar kar de
jis ko lambi zaban de allah
wo to surat se bhut lagta hai
us ko marghaT masan de allah
aasman ko to tan rakkha hai
mera tambu bhi tan de allah
kachche DhunDe mein kyon rahe dilbar
taj jaisa makan de allah
kaise 'muKHtar' ban gaya shair
kaun apna bayan de allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.