mujhko chhoDe ja rahe ho mere ghar ke samne
mujh ko chhoḌe jā rahe ho mere ghar ke sāmne
yuuñ mujhe rusvā na kiije har bashar ke sāmne
tere aane se mujhe aise lagā jaise koī
aa gayā ho āsmāñ se chāñd utar ke sāmne
aaj aao is tarah jaise ki pahlī baar tum
aa ga.e the be-ḳhayālī meñ sañvar ke sāmne
us kī āñkheñ aaj bhī itnī hasīñ dikhlā.ī diiñ
dekhiye to gir paḌā huuñ maiñ bikhar ke sāmne
mujh se tanhā ruuTh kar tanhā.iyoñ meñ jā basā
DhūñD kar laa.e use koī nazar ke sāmne
mujh ko chhoDe ja rahe ho mere ghar ke samne
yun mujhe ruswa na kije har bashar ke samne
tere aane se mujhe aise laga jaise koi
aa gaya ho aasman se chand utar ke samne
aaj aao is tarah jaise ki pahli bar tum
aa gae the be-KHayali mein sanwar ke samne
us ki aankhen aaj bhi itni hasin dikhlai din
dekhiye to gir paDa hun main bikhar ke samne
mujh se tanha ruTh kar tanhaiyon mein ja basa
DhunD kar lae use koi nazar ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.