mujhko Dar hai kahin aisa dil-e-nakaam na ho
mujhko Dar hai kahin aisa dil-e-nakaam na ho
Uma Shankar Shadan Gwaliori
MORE BYUma Shankar Shadan Gwaliori
mujh ko Dar hai kahīñ aisā dil-e-nākām na ho
ishq āġhāz hī āġhāz ho anjām na ho
gardish-e-jām to ho gardish-e-ayyām na ho
ye koī baat huī sub.h to ho shaam na ho
dāman-e-shām kī rangīn fazāo dekho
koī āshufta-sar-e-husn sar-e-bām na ho
kar diyā kyā ye mire zauq-e-talab ne mujh ko
naam par tere gumāñ hai ki mirā naam na ho
ḳhud-numā.ī ke karam had se sivā haiñ 'shādāñ'
ab mirā shauq kahīñ morid-e-ilzām na ho
mujh ko Dar hai kahin aisa dil-e-nakaam na ho
ishq aaghaz hi aaghaz ho anjam na ho
gardish-e-jam to ho gardish-e-ayyam na ho
ye koi baat hui subh to ho sham na ho
daman-e-sham ki rangin fazao dekho
koi aashufta-sar-e-husn sar-e-baam na ho
kar diya kya ye mere zauq-e-talab ne mujh ko
nam par tere guman hai ki mera nam na ho
KHud-numai ke karam had se siwa hain 'shadan'
ab mera shauq kahin morid-e-ilzam na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.