mujhko daryuza-gar-e-KHwab bana deta hai
mujh ko daryūza-gar-e-ḳhvāb banā detā hai
jab bhī aatā hai mirī pyaas baḌhā detā hai
pūchh letā hai mirā haal vo dīvāroñ se
apne hī haath se tasvīr banā detā hai
us ne sīkhā hī nahīñ ḳhvāb meñ rahne kā safar
aisā koī nahīñ jo aa ke jagā detā hai
shaam hote hī sañvartā hai mirī āñkhoñ meñ
ye nazāra hī mujhe aag banā detā hai
aa.ina DhūñD hī letā hai mujhe āḳhir-kār
lutf-e-tā.īd mujhe tujh se sivā detā hai
mujh ko daryuza-gar-e-KHwab bana deta hai
jab bhi aata hai meri pyas baDha deta hai
puchh leta hai mera haal wo diwaron se
apne hi hath se taswir bana deta hai
us ne sikha hi nahin KHwab mein rahne ka safar
aisa koi nahin jo aa ke jaga deta hai
sham hote hi sanwarta hai meri aankhon mein
ye nazara hi mujhe aag bana deta hai
aaina DhunD hi leta hai mujhe aaKHir-kar
lutf-e-taid mujhe tujh se siwa deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.