mujhko dekha to hans ke kahte hain
mujh ko dekhā to hañs ke kahte haiñ
ashk ab be-sabab bhī bahte haiñ
un ke kūche meñ ḳhush vo rahte haiñ
har tarah ke jo rañj sahte haiñ
jin ke dil meñ hai dard duniyā kā
vahī duniyā meñ zinda rahte haiñ
mai-kada kyuuñ hai qibla-e-hājāt
vo mujhe bevaqūf kahte haiñ
jo miTāte haiñ ḳhud ko jiite jī
vahī mar kar bhī zinda rahte haiñ
dījiye kyuuñ 'riyāz' ko taklīf
sher sunte haiñ vo na kahte haiñ
mujh ko dekha to hans ke kahte hain
ashk ab be-sabab bhi bahte hain
un ke kuche mein KHush wo rahte hain
har tarah ke jo ranj sahte hain
jin ke dil mein hai dard duniya ka
wahi duniya mein zinda rahte hain
mai-kada kyun hai qibla-e-hajat
wo mujhe bewaquf kahte hain
jo miTate hain KHud ko jite ji
wahi mar kar bhi zinda rahte hain
dijiye kyun 'riyaz' ko taklif
sher sunte hain wo na kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.