mujhko diwana samajhte hain wo shaidai bhi
mujh ko dīvāna samajhte haiñ vo shaidā.ī bhī
maiñ tamāshā bhī huuñ mahfil meñ tamāshā.ī bhī
baḌh ga.ī ham se naqāhat meñ hamārī tasvīr
is meñ baaqī na rahī quvvat-e-goyā.ī bhī
Dhal na jaa.e kahīñ shāne se havā meñ āñchal
ab vo sharmāte haiñ lete hue añgḌā.ī bhī
miT gayā dāġh-e-dil-e-zār bhī rafta rafta
bujh gayā aaj charāġh-e-shab-e-tanhā.ī bhī
jis qadar paas thī pūñjī use ham kho baiThe
'ishq meñ 'nūh' ga.ī daulat-e-ābā.ī bhī
mujh ko diwana samajhte hain wo shaidai bhi
main tamasha bhi hun mahfil mein tamashai bhi
baDh gai hum se naqahat mein hamari taswir
is mein baqi na rahi quwwat-e-goyai bhi
Dhal na jae kahin shane se hawa mein aanchal
ab wo sharmate hain lete hue angDai bhi
miT gaya dagh-e-dil-e-zar bhi rafta rafta
bujh gaya aaj charagh-e-shab-e-tanhai bhi
jis qadar pas thi punji use hum kho baiThe
'ishq mein 'nuh' gai daulat-e-abai bhi
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 146)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.