Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko dil qismat ne usko husn-e-ghaarat-gar diya

Arzoo Lakhnavi

mujhko dil qismat ne usko husn-e-ghaarat-gar diya

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    mujh ko dil qismat ne us ko husn-e-ġhārat-gar diyā

    chuur kar de kyuuñ na vo shīsha jise patthar diyā

    us se tālib huuñ diyat aap se matlab nahīñ

    jis ne gardan ek ko ek ko ḳhanjar diyā

    thā mukāfāt-e-amal ahbāb husn-e-amal

    ye bhī aisā qarz thā jo aur se le kar diyā

    ab na hai fikr-e-hifāzat aur na zīq-e-raf-e-kār

    dene vaale ne diyā aur merī ḳhvāhish bhar diyā

    girya-e-be-iḳhtiyār-e-ġham bhī thā fitrī ilaaj

    jis ne thoḌe josh ko har martaba kam kar diyā

    jis meñ kaif-e-ġham nahīñ baaz aa.e aise dil se ham

    ye bhī duniyā hai koī mai to na sāġhar diyā

    'ārzū' ik roz Dhā detā mujhe merā zor

    ye bhī us kārsāzī dil meñ jis ne Dar diyā

    mujh ko dil qismat ne us ko husn-e-ghaarat-gar diya

    chur kar de kyun na wo shisha jise patthar diya

    us se talib hun diyat ka aap se matlab nahin

    jis ne gardan ek ko di ek ko KHanjar diya

    tha mukafat-e-amal ahbab ka husn-e-amal

    ye bhi aisa qarz tha jo aur se le kar diya

    ab na hai fikr-e-hifazat aur na ziq-e-raf-e-kar

    dene wale ne diya aur meri KHwahish bhar diya

    girya-e-be-iKHtiyar-e-gham bhi tha fitri ilaj

    jis ne thoDe josh ko har martaba kam kar diya

    jis mein kaif-e-gham nahin baz aae aise dil se hum

    ye bhi duniya hai koi mai to na di saghar diya

    'arzu' ek roz Dha deta mujhe mera hi zor

    ye bhi us ki karsazi dil mein jis ne Dar diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now