mujhko Doli mein biTha Dar ke hawale kar de
mujh ko Dolī meñ biThā Dar ke havāle kar de
merī maañ mujh ko muqaddar ke havāle kar de
ab ye ehsās ki duniyā meñ koī merā nahīñ
jaane kab mujh ko samundar ke havāle kar de
us qabīle se nahīñ maiñ ki jo apnī laḌkī
jañg ke ḳhauf se lashkar ke havāle kar de
ghūmne phirne kā haq rakhtī hai phir bhī titlī
kis liye ḳhud ko gul-e-tar ke havāle kar de
ḳhālī kamre meñ paḌe rahne se behtar hogā
ai 'qamar' ḳhud ko bhare ghar ke havāle kar de
mujh ko Doli mein biTha Dar ke hawale kar de
meri man mujh ko muqaddar ke hawale kar de
ab ye ehsas ki duniya mein koi mera nahin
jaane kab mujh ko samundar ke hawale kar de
us qabile se nahin main ki jo apni laDki
jang ke KHauf se lashkar ke hawale kar de
ghumne phirne ka haq rakhti hai phir bhi titli
kis liye KHud ko gul-e-tar ke hawale kar de
KHali kamre mein paDe rahne se behtar hoga
ai 'qamar' KHud ko bhare ghar ke hawale kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.