mujhko duniya ki tamanna hai na din ka lalach
mujhko duniya ki tamanna hai na din ka lalach
Parveen Umm-e-Mushtaq
MORE BYParveen Umm-e-Mushtaq
mujh ko duniyā kī tamannā hai na diiñ kā lālach
haa.e lālach hai to ik māh-jabīñ kā lālach
ishq-bāzī pe sunā mujh ko malāmat na karo
haif hai jis ko na ho tum se hasīñ kā lālach
hālat-e-qalb sar-e-bazm batā.ūñ kyūñkar
parda-e-dil meñ hai ik parda-nashīñ kā lālach
jab yahīñ taish meñ guzre to vahāñ kyā ummīd
na rahā is liye ham ko to kahīñ kā lālach
boriyā taḳht-e-sulaimāñ se kahīñ behtar hai
ham ġharīboñ ko nahīñ tāj-o-nagīñ kā lālach
na maiñ duniyā kā talabgār na uqbā kī havas
āsmānoñ kī tamannā na zamīñ kā lālach
dil bhī do jaan bhī do zar bhī do us ko 'parvīñ'
baḌh gayā sab se mire māh-jabīñ kā lālach
mujh ko duniya ki tamanna hai na din ka lalach
hae lalach hai to ek mah-jabin ka lalach
ishq-bazi pe suna mujh ko malamat na karo
haif hai jis ko na ho tum se hasin ka lalach
haalat-e-qalb sar-e-bazm bataun kyunkar
parda-e-dil mein hai ek parda-nashin ka lalach
jab yahin taish mein guzre to wahan kya ummid
na raha is liye hum ko to kahin ka lalach
boriya taKHt-e-sulaiman se kahin behtar hai
hum gharibon ko nahin taj-o-nagin ka lalach
na main duniya ka talabgar na uqba ki hawas
aasmanon ki tamanna na zamin ka lalach
dil bhi do jaan bhi do zar bhi do us ko 'parwin'
baDh gaya sab se mere mah-jabin ka lalach
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.