mujhko duniya se be-KHabar kar de
mujh ko duniyā se be-ḳhabar kar de
dekh le mujh ko mo'tabar kar de
sub.h ko de de shaam kī raunaq
shaam ko dard kī sahar kar de
din chaḌhe le le jaañ bhale merī
jism raushan tū raat bhar kar de
us kī rag meñ bahe lahū merā
ishq anjām-e-ham-safar kar de
mujh ko duniya se be-KHabar kar de
dekh le mujh ko mo'tabar kar de
subh ko de de sham ki raunaq
sham ko dard ki sahar kar de
din chaDhe le le jaan bhale meri
jism raushan tu raat bhar kar de
us ki rag mein bahe lahu mera
ishq anjam-e-ham-safar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.