mujhko furqat ki asiri se rihai hoti
mujh ko furqat kī asīrī se rihā.ī hotī
kaash iisā ke evaz maut hī aa.ī hotī
āshiqī meñ jo maza hai to yahī furqat hai
lutf kyā thā jo agar us se judā.ī hotī
gar na ho sham.a to ma.adūm haiñ parvāne bhī
tū na hotā to sanam kab ye ḳhudā.ī hotī
ġhair se karte ho abrū ke ishāre har dam
kabhī talvār to mujh par bhī lagā.ī hotī
us kī har dam kī nasīhat se maiñ tañg aayā huuñ
kaash nāseh se bhī aañkh us ne laḌā.ī hotī
huuñ vo ġham-dost ki sab apne hī dil meñ bhartā
ġham-e-ālam kī agar is meñ samā.ī hotī
ḳhat ke āġhāz meñ to mujh se huā saaf tū kab
lutf tab thā ki safā.ī meñ safā.ī hotī
abr-e-rahmat se to mahrūm rahī kisht mirī
koī bijlī hī falak tū ne girā.ī hotī
dasht-e-pur-ḳhār meñ mehñdī kī havas bhī niklī
kab hamārī kaf-e-pā varna hinā.ī hotī
dhoī kyuuñ ashk ke tūfān se lauh-e-mahfūz
sar-navisht apnī hī 'nāsiḳh' ne miTā.ī hotī
mujh ko furqat ki asiri se rihai hoti
kash isa ke ewaz maut hi aai hoti
aashiqi mein jo maza hai to yahi furqat hai
lutf kya tha jo agar us se judai hoti
gar na ho shama to madum hain parwane bhi
tu na hota to sanam kab ye KHudai hoti
ghair se karte ho abru ke ishaare har dam
kabhi talwar to mujh par bhi lagai hoti
us ki har dam ki nasihat se main tang aaya hun
kash naseh se bhi aankh us ne laDai hoti
hun wo gham-dost ki sab apne hi dil mein bharta
gham-e-alam ki agar is mein samai hoti
KHat ke aaghaz mein to mujh se hua saf tu kab
lutf tab tha ki safai mein safai hoti
abr-e-rahmat se to mahrum rahi kisht meri
koi bijli hi falak tu ne girai hoti
dasht-e-pur-KHar mein mehndi ki hawas bhi nikli
kab hamari kaf-e-pa warna hinai hoti
dhoi kyun ashk ke tufan se lauh-e-mahfuz
sar-nawisht apni hi 'nasiKH' ne miTai hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.