mujhko furqat se guzara jaega
mujh ko furqat se guzārā jā.egā
aaj to shab-ḳhūn maarā jā.egā
rā.egāñ maiñ aur tū bhī rā.egāñ
duur tak us kā ḳhasārā jā.egā
yaad kī galiyoñ meñ siina piiT kar
rāt-din tum ko pukārā jā.egā
sarhad-e-dil par hai ḳhūnī ma.arka
aaj apnā aap maarā jā.egā
aap ko nafrat pasand aa.ī mirī
aap par se ḳhuun vaarā jā.egā
maiñ ne farmāyā thā ki dil se na jā
ab gayā thoḌā to saarā jā.egā
mujh ko furqat se guzara jaega
aaj to shab-KHun mara jaega
raegan main aur tu bhi raegan
dur tak us ka KHasara jaega
yaad ki galiyon mein sina piT kar
raat-din tum ko pukara jaega
sarhad-e-dil par hai KHuni marka
aaj apna aap mara jaega
aap ko nafrat pasand aai meri
aap par se KHun wara jaega
main ne farmaya tha ki dil se na ja
ab gaya thoDa to sara jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.