mujhko gale laga ke hui zindagi KHamosh
mujh ko gale lagā ke huī zindagī ḳhamosh
chupke se yuuñ hayāt mirī chal basī ḳhamosh
qisse visāl ke to kitāboñ meñ rah ga.e
pattoñ pe hijr kī thī kahānī vahī ḳhamosh
sahme hue shajar kī bhī sajda kushā.ī thī
sajda-kunāñ ko dekh ke miTTī huī ḳhamosh
haañ haañ are vahī vahī hai maut jis kā naam
lene ko mujh ko dost mirī aa ga.ī ḳhamosh
'tāhir' kī pārsā.ī kā da.avā nahīñ mujhe
dīvār-o-dar pe bel kī nekī ugī ḳhamosh
mujh ko gale laga ke hui zindagi KHamosh
chupke se yun hayat meri chal basi KHamosh
qisse visal ke to kitabon mein rah gae
patton pe hijr ki thi kahani wahi KHamosh
sahme hue shajar ki bhi sajda kushai thi
sajda-kunan ko dekh ke miTTi hui KHamosh
han han are wahi wahi hai maut jis ka nam
lene ko mujh ko dost meri aa gai KHamosh
'tahir' ki parsai ka dawa nahin mujhe
diwar-o-dar pe bel ki neki ugi KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.