mujhko hasil hua zamana jab
mujh ko hāsil huā zamāna jab
maiñ ne kho kar tujhe hai paayā jab
mujh ko joḌā hai toḌ kar ḳhud ko
us ne mujh ko bikhartā paayā jab
ḳhud ko paayā hai muztarib maiñ ne
zikr mahfil meñ terā aayā jab
yuuñ lagā zindagī milī mujh ko
aapne ḳhaak se uThāyā jab
aisī hirs-o-havas se kyā hāsil
ḳhālī hāthoñ hai ham ko jaanā jab
tū bhī samjhegā 'ahd-e-tanhā.ī
saath chhoḌegā terā saaya jab
mujh ko hasil hua zamana jab
main ne kho kar tujhe hai paya jab
mujh ko joDa hai toD kar KHud ko
us ne mujh ko bikharta paya jab
KHud ko paya hai muztarib main ne
zikr mahfil mein tera aaya jab
yun laga zindagi mili mujh ko
aapne KHak se uThaya jab
aisi hirs-o-hawas se kya hasil
KHali hathon hai hum ko jaana jab
tu bhi samjhega 'ahd-e-tanhai
sath chhoDega tera saya jab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.