mujhko hairat ki salibon se utare koi
mujh ko hairat kī salīboñ se utāre koī
be-sadā shahr meñ ro kar hī pukāre koī
kal tujhe dekhnā chāhā to ajab baat huī
aañkh par Taañk gayā chāñd sitāre koī
maiñ tirī zaat se bāhar bhī tirī zaat meñ huuñ
kaise dikhlā.e mujhe mere kināre koī
is na.e daur meñ bachchoñ pe ye kyā vaqt paḌā
aag meñ jhoñk gayā un ke ġhubāre koī
kis tarah naav chale itne chaḌhe paanī meñ
terī yādoñ kā samundar to utāre koī
mujh ko hairat ki salibon se utare koi
be-sada shahr mein ro kar hi pukare koi
kal tujhe dekhna chaha to ajab baat hui
aankh par Tank gaya chand sitare koi
main teri zat se bahar bhi teri zat mein hun
kaise dikhlae mujhe mere kinare koi
is nae daur mein bachchon pe ye kya waqt paDa
aag mein jhonk gaya un ke ghubare koi
kis tarah naw chale itne chaDhe pani mein
teri yaadon ka samundar to utare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.