mujhko har lamha nai ek kahani dega
mujh ko har lamha na.ī ek kahānī degā
har kahānī meñ tirā rañg dikhā.ī degā
kal jo ik lafz na suntā thā safā.ī meñ mirī
aaj vo shaḳhs mire haq meñ gavāhī degā
jis ne qaa.em kiyā ye rishta qalam se merā
ab kahāñ vo mujhe duniyā meñ dikhā.ī degā
vaqt-e-āḳhir na mulāqāt mirī us se huī
har ġhazal meñ mirī ye nauha sunā.ī degā
ek misre kī tarah vo to akelā hī rahā
jab bhī dekhoge akelā hī dikhā.ī degā
kyuuñ havā tez chalī niiñd se vo jaag paḌā
ḳhvāb TuuTā hai to ilzām mujhe hī degā
mujh ko har lamha nai ek kahani dega
har kahani mein tera rang dikhai dega
kal jo ek lafz na sunta tha safai mein meri
aaj wo shaKHs mere haq mein gawahi dega
jis ne qaem kiya ye rishta qalam se mera
ab kahan wo mujhe duniya mein dikhai dega
waqt-e-aKHir na mulaqat meri us se hui
har ghazal mein meri ye nauha sunai dega
ek misre ki tarah wo to akela hi raha
jab bhi dekhoge akela hi dikhai dega
kyun hawa tez chali nind se wo jag paDa
KHwab TuTa hai to ilzam mujhe hi dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.