Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko har phul sunata tha fasana tera

Asar Lakhnavi

mujhko har phul sunata tha fasana tera

Asar Lakhnavi

MORE BYAsar Lakhnavi

    mujh ko har phuul sunātā thā fasāna terā

    tere dāman qasam apne garebāñ qasam

    gūñjtā rahtā thā ik naġhma mire kānoñ meñ

    tapish-āhañgī-e-mizrāb-e-rag-e-jāñ qasam

    iltifāt-e-nigah-e-nāz saudā thā kabhī

    ḳhatm vo daur huā gardish-e-daurāñ qasam

    ab na vo dil hai na vo valvala-e-arz-e-niyāz

    haath se chhūTe hue gosha-e-dāmāñ qasam

    mujh ko barbād rahne de talāfī se guzar

    ishq ehsāñ hai girāñ-bārī-e--ehsāñ qasam

    adab-āmoz-e-mohabbat hai mohabbat merī

    varna khātā tire toḌe hue paimāñ qasam

    mujh ko har phul sunata tha fasana tera

    tere daman ki qasam apne gareban ki qasam

    gunjta rahta tha ek naghma mere kanon mein

    tapish-ahangi-e-mizrab-e-rag-e-jaan ki qasam

    iltifat-e-nigah-e-naz ka sauda tha kabhi

    KHatm wo daur hua gardish-e-dauran ki qasam

    ab na wo dil hai na wo walwala-e-arz-e-niyaz

    hath se chhuTe hue gosha-e-daman ki qasam

    mujh ko barbaad hi rahne de talafi se guzar

    ishq ehsan hai giran-bari-e--ehsan ki qasam

    adab-amoz-e-mohabbat hai mohabbat meri

    warna khata tere toDe hue paiman ki qasam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now