mujhko itna to yaqin hai main hun
mujh ko itnā to yaqīñ hai maiñ huuñ
aur jab tak ye zamīñ hai maiñ huuñ
is se aage maiñ kahāñ tak sochūñ
aadmī jitnā zahīñ hai maiñ huuñ
ye jise saath liye phirtā huuñ
ye koī aur nahīñ hai maiñ huuñ
ek chhoTā sā mahal sapnoñ kā
jis meñ ik māh-jabīñ hai maiñ huuñ
ghar ke bāhar hai koī mujh jaisā
aur jo ghar meñ makīñ hai maiñ huuñ
mere malbe pe khaḌe haiñ sab log
dekhtā koī nahīñ hai maiñ huuñ
mujh ko itna to yaqin hai main hun
aur jab tak ye zamin hai main hun
is se aage main kahan tak sochun
aadmi jitna zahin hai main hun
ye jise sath liye phirta hun
ye koi aur nahin hai main hun
ek chhoTa sa mahal sapnon ka
jis mein ek mah-jabin hai main hun
ghar ke bahar hai koi mujh jaisa
aur jo ghar mein makin hai main hun
mere malbe pe khaDe hain sab log
dekhta koi nahin hai main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.