mujhko jaana hai zara ham-safaron se aage
mujh ko jaanā hai zarā ham-safaroñ se aage
un kī āñkhoñ se pare apne paroñ se aage
ham jo ye jaan bachāne kā hunar jānte haiñ
kuchh rah-o-rasm thī bedād-garoñ se aage
tum ko ai ḳhīra-saro ham pe fazīlat kyā hai
bas vahī turra-e-dastār saroñ se aage
vahīñ rah jaate haiñ sab had se guzarne vaale
chaltī rahtī hai zamīñ be-ḳhabaroñ se aage
'umr bhar basra-o-baġhdād basāte rahe log
aur dekhā to vahī dasht gharoñ se aage
dard ke faiz se dil ‘aish-e-do-‘ālam se ġhanī
'ishq ke raaj meñ ham tājvaroñ se aage
mujh ko jaana hai zara ham-safaron se aage
un ki aankhon se pare apne paron se aage
hum jo ye jaan bachane ka hunar jaante hain
kuchh rah-o-rasm thi bedad-garon se aage
tum ko ai KHira-saro hum pe fazilat kya hai
bas wahi turra-e-dastar saron se aage
wahin rah jate hain sab had se guzarne wale
chalti rahti hai zamin be-KHabaron se aage
'umr bhar basra-o-baghdad basate rahe log
aur dekha to wahi dasht gharon se aage
dard ke faiz se dil ‘aish-e-do-‘alam se ghani
'ishq ke raj mein hum tajwaron se aage
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 123)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.