mujhko jab bhi mili KHushi sohil
mujh ko jab bhī milī ḳhushī 'sohil'
chhīn kar chal dī be-dilī 'sohil'
tang jab kartī zindagī 'sohil'
jī meñ aatī hai ḳhud-kushī 'sohil'
jab se kuchh log is jahāñ se ga.e
merī duniyā ujaḌ ga.ī 'sohil'
dekhā jaltā huā makāñ jab se
maiñ ne dekhī na raushnī 'sohil'
mujh se tanhā.ī meñ lipaT jaa.e
ab udāsī ḳhushī ḳhushī 'sohil'
ḳhūbsūrat nahīñ kisī sūrat
maiñ ne duniyā bhī dekh lī 'sohil'
mujh ko jab bhi mili KHushi 'sohil'
chhin kar chal di be-dili 'sohil'
tang jab karti zindagi 'sohil'
ji mein aati hai KHud-kushi 'sohil'
jab se kuchh log is jahan se gae
meri duniya ujaD gai 'sohil'
dekha jalta hua makan jab se
main ne dekhi na raushni 'sohil'
mujh se tanhai mein lipaT jae
ab udasi KHushi KHushi 'sohil'
KHubsurat nahin kisi surat
main ne duniya bhi dekh li 'sohil'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.