mujhko jab ghaur se takte hain zamane wale
mujh ko jab ġhaur se takte haiñ zamāne vaale
hū-bahū lagte haiñ tasvīr banāne vaale
vaqt rakh degā tirī piiTh pe ye shab kā pahāḌ
bojh chup-chāp añdhere kā uThāne vaale
yaad rakkhūñgā tujhe ek haqīqat kī tarah
ek qisse kī tarah mujh ko bhulāne vaale
raat kī oT liye rote haiñ tanhā tanhā
din ke jalvoñ meñ hazāroñ ko hañsāne vaale
chhuptī phirtī hai yūñhī raah dhuñdalkoñ meñ kyoñ
ham nahīñ biich meñ yuuñ lauT ke jaane vaale
vo koī aur haiñ jo dete haiñ shab kā paiġhām
ham to haiñ sub.h kā elaan sunāne vaale
mudda.ā terā kuchh auroñ se judā lagtā hai
dāstāñ ek hī har baar sunāne vaale
yaañ se utreñge to ham hoñge sahar ke rath meñ
ham ko ai raat kī suulī pe chaḌhāne vaale
ham ne sadiyoñ kā safar lamhoñ meñ kaaTā 'ābid'
jaane kis moḌ pe aTke haiñ zamāne vaale
mujh ko jab ghaur se takte hain zamane wale
hu-bahu lagte hain taswir banane wale
waqt rakh dega teri piTh pe ye shab ka pahaD
bojh chup-chap andhere ka uThane wale
yaad rakkhunga tujhe ek haqiqat ki tarah
ek qisse ki tarah mujh ko bhulane wale
raat ki oT liye rote hain tanha tanha
din ke jalwon mein hazaron ko hansane wale
chhupti phirti hai yunhi rah dhundalkon mein kyon
hum nahin bich mein yun lauT ke jaane wale
wo koi aur hain jo dete hain shab ka paigham
hum to hain subh ka elan sunane wale
muddaa tera kuchh auron se juda lagta hai
dastan ek hi har bar sunane wale
yan se utrenge to hum honge sahar ke rath mein
hum ko ai raat ki suli pe chaDhane wale
hum ne sadiyon ka safar lamhon mein kaTa 'abid'
jaane kis moD pe aTke hain zamane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.