mujhko jine se faeda bhi nahin
mujh ko jiine se fā.eda bhī nahīñ
aur phir marzi-e-ḳhudā bhī nahīñ
nahīñ ma.alūm kyā maiñ kahtā huuñ
tum nahīñ ho to kyā ḳhudā bhī nahīñ
maut ab zindagī bhī hai mujh ko
jab mire dard kī davā bhī nahīñ
sar-e-bālīñ vo muskurāte haiñ
merī taqdīr meñ shifā bhī nahīñ
jhilmilātā hai subah kā taarā
ab to jiine kā aasrā bhī nahīñ
dar-e-dildār pā.ūñ kiyā 'jāved'
kahīñ do-chār naqsh-e-pā bhī nahīñ
mujh ko jine se faeda bhi nahin
aur phir marzi-e-KHuda bhi nahin
nahin malum kya main kahta hun
tum nahin ho to kya KHuda bhi nahin
maut ab zindagi bhi hai mujh ko
jab mere dard ki dawa bhi nahin
sar-e-baalin wo muskuraate hain
meri taqdir mein shifa bhi nahin
jhilmilata hai subah ka tara
ab to jine ka aasra bhi nahin
dar-e-dildar paun kiya 'jawed'
kahin do-chaar naqsh-e-pa bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.