mujhko kahan guman guzarta ki main bhi hun
mujh ko kahāñ gumān guzartā ki maiñ bhī huuñ
dekhā tumheñ to maiñ ne ye jaanā ki maiñ bhī huuñ
mere bhī baḳht meñ hai añdherā ki maiñ bhī huuñ
samjhe na raat ḳhud ko akelā ki maiñ bhī huuñ
ghar to bahā ke le gayā ḳhāshāk kī tarah
dariyā na chhoḌ mujh ko akelā ki maiñ bhī huuñ
ai kaash chīḳhtā use aatā to maiñ nazar
us sāhab-nazar ne na dekhā ki maiñ bhī huuñ
maiñ apnī dhun meñ kitnī bulandī pe aa gayā
koī nahīñ hai dekhne vaalā ki maiñ bhī huuñ
mujh ko kahan guman guzarta ki main bhi hun
dekha tumhein to main ne ye jaana ki main bhi hun
mere bhi baKHt mein hai andhera ki main bhi hun
samjhe na raat KHud ko akela ki main bhi hun
ghar to baha ke le gaya KHashak ki tarah
dariya na chhoD mujh ko akela ki main bhi hun
ai kash chiKHta use aata to main nazar
us sahab-nazar ne na dekha ki main bhi hun
main apni dhun mein kitni bulandi pe aa gaya
koi nahin hai dekhne wala ki main bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.