mujhko KHud ka pata nahin hota
mujh ko ḳhud kā pata nahīñ hotā
tū mujhe jo milā nahīñ hotā
chāhe kitnī chamak ho patthar meñ
vo kabhī aa.ina nahīñ hotā
yuuñ to kyā kyā huā hai duniyā meñ
vo hī bas bā-vafā nahīñ hotā
hai siyāsat kā falsafa itnā
yaañ sagā bhī sagā nahīñ hotā
haiñ barābar sabhī mohabbat meñ
koī chhoTā-baḌā nahīñ hotā
mujh ko KHud ka pata nahin hota
tu mujhe jo mila nahin hota
chahe kitni chamak ho patthar mein
wo kabhi aaina nahin hota
yun to kya kya hua hai duniya mein
wo hi bas ba-wafa nahin hota
hai siyasat ka falsafa itna
yan saga bhi saga nahin hota
hain barabar sabhi mohabbat mein
koi chhoTa-baDa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.