mujhko KHud se mila de baba
mujh ko ḳhud se milā de baabā
jīvan paar lagā de baabā
shahr-e-dil meñ ghor añdherā
man kī jot jalā de baabā
dariyā dariyā pyaas kā manzar
amrit-ras chhalkā de baabā
gum-sum chaurāhe pe khaḌā huuñ
apnī raah dikhā de baabā
maiñ tujh ko likhne baiThā huuñ
apnā ruup paḌhā de baabā
maiñ bolūñ āvāz ho terī
dil se dil ko milā de baabā
sūraj chāñd sitāroñ jaise
fikr-o-amal chamkā de baabā
zaḳhm-e-dil ko jagā de 'nashtar'
vo fankār banā de baabā
mujh ko KHud se mila de baba
jiwan par laga de baba
shahr-e-dil mein ghor andhera
man ki jot jala de baba
dariya dariya pyas ka manzar
amrit-ras chhalka de baba
gum-sum chaurahe pe khaDa hun
apni rah dikha de baba
main tujh ko likhne baiTha hun
apna rup paDha de baba
main bolun aawaz ho teri
dil se dil ko mila de baba
suraj chand sitaron jaise
fikr-o-amal chamka de baba
zaKHm-e-dil ko jaga de 'nashtar'
wo fankar bana de baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.