mujhko koi bhi sila milne mein dushwari na thi
mujh ko koī bhī sila milne meñ dushvārī na thī
sab hunar aate the lekin 'aql se yaarī na thī
jin dinoñ iḳhlās meñ thoḌī sī 'ayyārī na thī
husn ke darbār meñ sābit vafādārī na thī
sar-kashī ke ahd-nāmoñ kī hifāzat ke liye
mere qalb-o-jāñ se behtar koī almārī na thī
jin usūloñ ke liye jiinā bahut mushkil huā
un kī ḳhātir jaan de dene meñ dushvārī na thī
husn hī kā vo 'ilāqa thā jahāñ sab kuchh milā
'ishq kī apnī alag koī zamīñ-dārī na thī
sab pareshāñ haiñ ki āḳhir kis vabā meñ vo mire
jin ko ġhurbat ke 'alāva koī bīmārī na thī
kis tarah bād-e-fanā se maiñ bachā letā use
us ġhazal paikar meñ koī fan kī chingārī na thī
roz ik muuzī ko neze par uThātā thā 'na'īm'
inqilābī quvvatoñ kī jab samajhdārī na thī
mujh ko koi bhi sila milne mein dushwari na thi
sab hunar aate the lekin 'aql se yari na thi
jin dinon iKHlas mein thoDi si 'ayyari na thi
husn ke darbar mein sabit wafadari na thi
sar-kashi ke ahd-namon ki hifazat ke liye
mere qalb-o-jaan se behtar koi almari na thi
jin usulon ke liye jina bahut mushkil hua
un ki KHatir jaan de dene mein dushwari na thi
husn hi ka wo 'ilaqa tha jahan sab kuchh mila
'ishq ki apni alag koi zamin-dari na thi
sab pareshan hain ki aaKHir kis waba mein wo mere
jin ko ghurbat ke 'alawa koi bimari na thi
kis tarah baad-e-fana se main bacha leta use
us ghazal paikar mein koi fan ki chingari na thi
roz ek muzi ko neze par uThata tha 'na'im'
inqilabi quwwaton ki jab samajhdari na thi
- Book : Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 214)
- Author : Ahmad Kafeel
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.