mujhko koi gham-o-KHushi hi nahin
mujh ko koī ġham-o-ḳhushī hī nahīñ
kyā mirī koī zindagī hī nahīñ
jab duā.eñ qubūl hone lagīñ
tab se ye lutf-e-bandagī hī nahīñ
shauq se dekhne ga.e the tuur
aur ḳhudā pe nazar Tikī hī nahīñ
haath un kā ho haath meñ likkhā
aisī qismat merī likhī hī nahīñ
maut bar-haq samajh liyā jis ne
ġham use koī dā.imī hī nahīñ
sab barābar savāb paate haiñ
koī avval yā āḳhirī hī nahīñ
mujh ko koi gham-o-KHushi hi nahin
kya meri koi zindagi hi nahin
jab duaen qubul hone lagin
tab se ye lutf-e-bandagi hi nahin
shauq se dekhne gae the tur
aur KHuda pe nazar Tiki hi nahin
hath un ka ho hath mein likkha
aisi qismat meri likhi hi nahin
maut bar-haq samajh liya jis ne
gham use koi daimi hi nahin
sab barabar sawab pate hain
koi awwal ya aaKHiri hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.