mujhko lena hai tere rang-e-hina ka bosa
mujh ko lenā hai tire rañg-e-hinā kā bosa
dast-e-rañgīñ kā mile yā kaf-e-pā kā bosa
rañg uḌ jaa.e jo minqār-e-anā dil chhū le
hai garāñ gul ko lab-e-mauj-e-sabā kā bosa
chūmtā haath maiñ saaqī ke adab maane thā
le liyā jām-e-mai-e-hosh-rubā kā bosa
bijlī har lahar se paidā ho tire kūche meñ
le mirā har nafas-e-garm havā kā bosa
maiñ vo sāġhar nahīñ aa.e kabhī lab tak jo 'riyāz'
kis ko miltā hai tire rañg-e-hinā kā bosa
mujh ko lena hai tere rang-e-hina ka bosa
dast-e-rangin ka mile ya kaf-e-pa ka bosa
rang uD jae jo minqar-e-ana dil chhu le
hai garan gul ko lab-e-mauj-e-saba ka bosa
chumta hath main saqi ke adab mane tha
le liya jam-e-mai-e-hosh-ruba ka bosa
bijli har lahar se paida ho tere kuche mein
le mera har nafas-e-garm hawa ka bosa
main wo saghar nahin aae kabhi lab tak jo 'riyaz'
kis ko milta hai tere rang-e-hina ka bosa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.