mujhko malum na tha un se mohabbat hogi
mujhko malum na tha un se mohabbat hogi
Azeezur Rahman Azeez Pani Pati
MORE BYAzeezur Rahman Azeez Pani Pati
mujh ko ma.alūm na thā un se mohabbat hogī
dard par dard musībat pe musībat hogī
yahī hālat hai to ik roz ye sūrat hogī
qais-o-farhād se baḌh kar mirī vahshat hogī
kar ke badnām mujhe aur ye kahnā us par
aap ke milne se be-shak mirī zillat hogī
iztirāb-e-dil-e-muztar hai bayāñ se bāhar
tere dīdār se hāsil ise rāhat hogī
le ḳhabar jald masīhā tū ḳhudārā aa kar
tere bīmār kī varna burī hālat hogī
dil ye kahtā hai zarā chal tū dar-e-jānāñ tak
sharm kahtī hai tire jaane meñ zillat hogī
maiñ ne pūchhā ki bhalā phir bhī miloge sāhib
bole muñh pher ke haañ gar hameñ fursat hogī
aap chal phir ke zarā chaal dikhā.eñ to sahī
aap kī jaane balā hogī qayāmat hogī
maiñ to ghul ghul ke yūñhī hijr meñ jaañ dūñgā 'azīz'
us ko ma.alūm mire baad haqīqat hogī
mujh ko malum na tha un se mohabbat hogi
dard par dard musibat pe musibat hogi
yahi haalat hai to ek roz ye surat hogi
qais-o-farhad se baDh kar meri wahshat hogi
kar ke badnam mujhe aur ye kahna us par
aap ke milne se be-shak meri zillat hogi
iztirab-e-dil-e-muztar hai bayan se bahar
tere didar se hasil ise rahat hogi
le KHabar jald masiha tu KHudara aa kar
tere bimar ki warna buri haalat hogi
dil ye kahta hai zara chal tu dar-e-jaanan tak
sharm kahti hai tere jaane mein zillat hogi
main ne puchha ki bhala phir bhi miloge sahib
bole munh pher ke han gar hamein fursat hogi
aap chal phir ke zara chaal dikhaen to sahi
aap ki jaane bala hogi qayamat hogi
main to ghul ghul ke yunhi hijr mein jaan dunga 'aziz'
us ko malum mere baad haqiqat hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.