mujhko marne ki koi ujlat na thi
mujh ko marne kī koī ujlat na thī
ḳhud se milne kī koī sūrat na thī
dekhte kyā husn kī nairañgiyāñ
aañkh jhapkāne kī bhī fursat na thī
ḳhud-ba-ḳhud ye zaḳhm lau dene lage
mujh ko koī hājat-e-shohrat na thī
uTh rahā hai dil se aahoñ kā dhuāñ
mahfil-e-shab mahfil-e-ishrat na thī
peḌ patte jal ke ḳhākistar hue
dosto vo bārish-e-rahmat na thī
apne chehre ajnabī hote ga.e
un kī āñkhoñ meñ koī hairat na thī
mujh ko marne ki koi ujlat na thi
KHud se milne ki koi surat na thi
dekhte kya husn ki nairangiyan
aankh jhapkane ki bhi fursat na thi
KHud-ba-KHud ye zaKHm lau dene lage
mujh ko koi hajat-e-shohrat na thi
uTh raha hai dil se aahon ka dhuan
mahfil-e-shab mahfil-e-ishrat na thi
peD patte jal ke KHakistar hue
dosto wo barish-e-rahmat na thi
apne chehre ajnabi hote gae
un ki aankhon mein koi hairat na thi
- Book : khvaab ravaan (Pg. 34)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.