mujhko na aazma sitam-e-rozgar se
mujh ko na aazmā sitam-e-rozgār se
maiñ tujh se duur huuñ na tire iḳhtiyār se
badleñge ahl-e-dil na kisī e'tibār se
sarkār dushmanī se navāzeñ ki pyaar se
ye kyā ki sirf rañg gulistāñ badal diyā
ham ne kuchh aur bhī to kahā thā bahār se
yārab ye kis nahaj pe haiñ dil ke muāmalāt
ham ġhair-mutma.in se na vo be-qarār se
āḳhir ḳhud apne sāmne aanā paḌā hameñ
uktā chuke the silsila-e-intizār se
barse haiñ kis ke ḳhuun ke bādal chaman chaman
laa.ī kahāñ se rañg ye pūchho bahār se
ham ro liye ki sabz-o-gul meñ tarī rahe
hañste agar to aag barastī bahār se
be-shak hai nā-ḳhudā kī mohabbat bhī un ke saath
'anjum' ḳhudā kā naam jo lete haiñ pyaar se
mujh ko na aazma sitam-e-rozgar se
main tujh se dur hun na tere iKHtiyar se
badlenge ahl-e-dil na kisi e'tibar se
sarkar dushmani se nawazen ki pyar se
ye kya ki sirf rang gulistan badal diya
hum ne kuchh aur bhi to kaha tha bahaar se
yarab ye kis nahaj pe hain dil ke muamalat
hum ghair-mutmain se na wo be-qarar se
aaKHir KHud apne samne aana paDa hamein
ukta chuke the silsila-e-intizar se
barse hain kis ke KHun ke baadal chaman chaman
lai kahan se rang ye puchho bahaar se
hum ro liye ki sabz-o-gul mein tari rahe
hanste agar to aag barasti bahaar se
be-shak hai na-KHuda ki mohabbat bhi un ke sath
'anjum' KHuda ka nam jo lete hain pyar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.