mujhko na jaanta meri danai jaanta
mujh ko na jāntā mirī dānā.ī jāntā
koī to merī baat kī gahrā.ī jāntā
ḳhud ko sameT laatā baḌe ehtiyāt se
gar maiñ mire ḳhayāl kī yakjā.ī jāntā
ab tak jo mere saath huā sab burā huā
varna mujhe yaqīñ hai maiñ achchhā.ī jāntā
be-sabr ho ke koī kahīñ mar gayā to Thiik
varna yahāñ pe kaun shakebā.ī jāntā
tere visāl meñ huā ye tajraba bhī faash
kaise vagarna maiñ kabhī tanhā.ī jāntā
har shaḳhs ne hī kar liyā goyā.ī par yaqīn
koī to merī aañkh kī sachchā.ī jāntā
mujh ko na jaanta meri danai jaanta
koi to meri baat ki gahrai jaanta
KHud ko sameT lata baDe ehtiyat se
gar main mere KHayal ki yakjai jaanta
ab tak jo mere sath hua sab bura hua
warna mujhe yaqin hai main achchhai jaanta
be-sabr ho ke koi kahin mar gaya to Thik
warna yahan pe kaun shakebai jaanta
tere visal mein hua ye tajraba bhi fash
kaise wagarna main kabhi tanhai jaanta
har shaKHs ne hi kar liya goyai par yaqin
koi to meri aankh ki sachchai jaanta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.