mujhko na tha malum to hai is mein ajab kya
mujh ko na thā mālūm to hai is meñ ajab kyā
ye kaun batā saktā hai ho jā.egā kab kyā
is kā to maza tab hai ki jab dā.imī ho jaa.e
kuchh din ke liye haiñ bhī to haiñ aish-o-tarab kyā
saaya hai kahīñ nuur mirā zauq farāvāñ
sūraj kī tapish kyā hai ye tārīki-e-shab kyā
ḳhud uTh ke chalī aatī hai manzil mirī jānib
aise meñ ho mujh ko kisī manzil kī talab kyā
is nasl ko ham ne hī to bebāk banāyā
ho apne buzurgoñ kā inheñ pās-o-adab kyā
jo roz na.ī tarz-e-sitam karte haiñ ījād
ḳhud ḳhuuñ meñ vo ik roz nahā.eñ to ajab kyā
allāh pe 'fārūq' tavakkul to kare tū
phir dekh tire haq meñ karegā tirā rab kyā
mujh ko na tha malum to hai is mein ajab kya
ye kaun bata sakta hai ho jaega kab kya
is ka to maza tab hai ki jab daimi ho jae
kuchh din ke liye hain bhi to hain aish-o-tarab kya
saya hai kahin nur mera zauq farawan
suraj ki tapish kya hai ye tariki-e-shab kya
KHud uTh ke chali aati hai manzil meri jaanib
aise mein ho mujh ko kisi manzil ki talab kya
is nasl ko hum ne hi to bebak banaya
ho apne buzurgon ka inhen pas-o-adab kya
jo roz nai tarz-e-sitam karte hain ijad
KHud KHun mein wo ek roz nahaen to ajab kya
allah pe 'faruq' tawakkul to kare tu
phir dekh tere haq mein karega tera rab kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.