mujhko na-karda gunah ka motarif hona paDa
mujh ko nā-karda gunah kā mo'tarif honā paḌā
rasm aisī thī ki ḳhud se munharif honā paḌā
koī bhī mujh sā na thā bebāk bazm-e-shauq meñ
is tarah mujh ko sabhoñ se muḳhtalif honā paḌā
ek hī shai thī ki jis par bach rahā thā e'timād
pas mujhe apnī anā se muttasif honā paḌā
vo yaqīnan rāz-andar-rāz thā lekin use
ek din mujh nā-tavāñ par munkashif honā paḌā
kyā batā.ūñ ma.abad-e-tanhā.ī meñ mujh riñd ko
umr-bhar ke vāste kyuuñ mo.atakif honā paḌā
mujh ko na-karda gunah ka mo'tarif hona paDa
rasm aisi thi ki KHud se munharif hona paDa
koi bhi mujh sa na tha bebak bazm-e-shauq mein
is tarah mujh ko sabhon se muKHtalif hona paDa
ek hi shai thi ki jis par bach raha tha e'timad
pas mujhe apni ana se muttasif hona paDa
wo yaqinan raaz-andar-raaz tha lekin use
ek din mujh na-tawan par munkashif hona paDa
kya bataun mabad-e-tanhai mein mujh rind ko
umr-bhar ke waste kyun moatakif hona paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.