mujhko qismat se mil gaya tha wo
mujh ko qismat se mil gayā thā vo
uf muqaddar meñ kab likhā thā vo
maiñ ga.ī hāl-e-dil sunāne ko
aur rush meñ ghirā huā thā vo
jis ko tarsī rahīñ mirī āñkheñ
sāmne hī khaḌā huā thā vo
jis kī ḳhātir sañvar ke aa.ī maiñ
ik nazar bhī na dekhtā thā vo
us ke chehre ko paḌh rahī thī maiñ
ek kāġhaz pe likh rahā thā vo
dil kī dhaḌkan bhī tez ho ga.ī thī
aise ruk ruk ke boltā thā vo
is kā lahja ki guḌ se mīThā thā
chāshnī aise gholtā thā vo
maiñ ne phūloñ se bhar liyā āñchal
ki achānak hī hañs diyā thā vo
maiñ bhī chup thī ki us se kahtī kyā
aur āñkhoñ ko paḌh rahā thā vo
maiñ ne chaa.e jo pesh kī thī use
ik takalluf meñ paḌ gayā thā vo
ek chaa.e kyā jaan detī maiñ
shukriya aise kah rahā thā vo
vo jo barsoñ se rok rakkhā thā
mere hoñToñ pe aa gayā thā vo
phir mere lafz hī nahīñ bole
aur chup-chāp sun rahā thā vo
ek zid par aḌī huī thī maiñ
ik anā meñ paḌā huā thā vo
mere aañsū bhī dekh na paayā
ḳhush raheñ aap kah rahā thā vo
maiñ ne sochā ki kuchh to pūchhegā
jā rahī thī maiñ chup khaḌā thā vo
us ko hairat se dekhtī thī maiñ
mujh ko hairat se dekhtā thā vo
āḳhirī nazm likh kar aa ga.ī maiñ
phir mirī nazm paḌh rahā thā vo
mere sajde bhī ho ga.e the qazā
yaad sajdoñ meñ aa gayā thā vo
maiñ ne bāñdhī namāz-e-ishq 'kañval'
mere pahlū meñ jab khaḌā thā vo
mujh ko qismat se mil gaya tha wo
uf muqaddar mein kab likha tha wo
main gai haal-e-dil sunane ko
aur rush mein ghira hua tha wo
jis ko tarsi rahin meri aankhen
samne hi khaDa hua tha wo
jis ki KHatir sanwar ke aai main
ek nazar bhi na dekhta tha wo
us ke chehre ko paDh rahi thi main
ek kaghaz pe likh raha tha wo
dil ki dhaDkan bhi tez ho gai thi
aise ruk ruk ke bolta tha wo
is ka lahja ki guD se miTha tha
chashni aise gholta tha wo
main ne phulon se bhar liya aanchal
ki achanak hi hans diya tha wo
main bhi chup thi ki us se kahti kya
aur aankhon ko paDh raha tha wo
main ne chae jo pesh ki thi use
ek takalluf mein paD gaya tha wo
ek chae kya jaan deti main
shukriya aise kah raha tha wo
wo jo barson se rok rakkha tha
mere honTon pe aa gaya tha wo
phir mere lafz hi nahin bole
aur chup-chap sun raha tha wo
ek zid par aDi hui thi main
ek ana mein paDa hua tha wo
mere aansu bhi dekh na paya
KHush rahen aap kah raha tha wo
main ne socha ki kuchh to puchhega
ja rahi thi main chup khaDa tha wo
us ko hairat se dekhti thi main
mujh ko hairat se dekhta tha wo
aaKHiri nazm likh kar aa gai main
phir meri nazm paDh raha tha wo
mere sajde bhi ho gae the qaza
yaad sajdon mein aa gaya tha wo
main ne bandhi namaz-e-ishq 'kanwal'
mere pahlu mein jab khaDa tha wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.