mujhko saqi ne jo ruKHsat kiya mai-KHane se
mujh ko saaqī ne jo ruḳhsat kiyā mai-ḳhāne se
ḳhud mai-e-nāb chhalakne lagī paimāne se
dekh kar hālat-e-dil un ko taras aa hī gayā
vo bhī ghabrā se ga.e mere taḌap jaane se
dete haiñ ta.anā-e-asnām-parastī mujh ko
sajda karte hue jo nikle haiñ mai-ḳhāne se
aap ke jaate hī ābād huī bazm-e-ḳhayāl
ban ga.ī aur bhī taqdīr bigaḌ jaane se
mohtasib ab tujhe tauba kā yaqīñ ho ki na ho
ham to Takrā chuke paimāne ko paimāne se
apnā ham-maslak o hamrāz kise kahiye 'shakīl'
nazar us bazm meñ sab aate haiñ begāne se
mujh ko saqi ne jo ruKHsat kiya mai-KHane se
KHud mai-e-nab chhalakne lagi paimane se
dekh kar haalat-e-dil un ko taras aa hi gaya
wo bhi ghabra se gae mere taDap jaane se
dete hain tana-e-asnam-parasti mujh ko
sajda karte hue jo nikle hain mai-KHane se
aap ke jate hi aabaad hui bazm-e-KHayal
ban gai aur bhi taqdir bigaD jaane se
mohtasib ab tujhe tauba ka yaqin ho ki na ho
hum to Takra chuke paimane ko paimane se
apna ham-maslak o hamraaz kise kahiye 'shakil'
nazar us bazm mein sab aate hain begane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.