mujhko sada na den na sataen mohabbaten
mujh ko sadā na deñ na satā.eñ mohabbateñ
merī balā se bhaaḌ meñ jaa.eñ mohabbateñ
pahneñge ham kabhī na ye māñgī huī qabā
jaa.eñ yahāñ se apnī uThā.eñ mohabbateñ
baiThe raheñ ġhurūr meñ apnī anā ke saath
rakkheñ sambhāl kar ye vafā.eñ mohabbateñ
kahnā ki ab kisī kī zarūrat nahīñ rahī
thak haar kar jo lauT ke aa.eñ mohabbateñ
dīvār nafratoñ kī jo tum ne khaḌī hai kī
mumkin hai ye bhī bojh uThā.eñ mohabbateñ
hotī nahīñ ye har kas-o-nā-kas ke vāste
anmol haiñ jahāñ meñ duā.eñ mohabbateñ
is dil-fareb jaal meñ 'fauzī' na aa.egī
qadmoñ meñ chāhe phuul bichhā.eñ mohabbateñ
mujh ko sada na den na sataen mohabbaten
meri bala se bhaD mein jaen mohabbaten
pahnenge hum kabhi na ye mangi hui qaba
jaen yahan se apni uThaen mohabbaten
baiThe rahen ghurur mein apni ana ke sath
rakkhen sambhaal kar ye wafaen mohabbaten
kahna ki ab kisi ki zarurat nahin rahi
thak haar kar jo lauT ke aaen mohabbaten
diwar nafraton ki jo tum ne khaDi hai ki
mumkin hai ye bhi bojh uThaen mohabbaten
hoti nahin ye har kas-o-na-kas ke waste
anmol hain jahan mein duaen mohabbaten
is dil-fareb jal mein 'fauzi' na aaegi
qadmon mein chahe phul bichhaen mohabbaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.