mujhko samho na harf-e-ghalat ki tarah
mujh ko samho na harf-e-ġhalat kī tarah
sabt ho jā.ūñgā dastaḳhat kī tarah
ġhaur se paḌh rahā huuñ zamāne tujhe
apne mahbūb ke pahle ḳhat kī tarah
vo hamesha nigāhoñ meñ tanhā rahā
saaf paanī meñ shaffāf bat kī tarah
ham ne patthar se hiire tarāshe 'zafar'
dast-e-qudrat ke be-misl qat kī tarah
mujh ko samho na harf-e-ghalat ki tarah
sabt ho jaunga dastaKHat ki tarah
ghaur se paDh raha hun zamane tujhe
apne mahbub ke pahle KHat ki tarah
wo hamesha nigahon mein tanha raha
saf pani mein shaffaf bat ki tarah
hum ne patthar se hire tarashe 'zafar'
dast-e-qudrat ke be-misl qat ki tarah
- Book : Nawa-e-harf-e-khamoosh (Pg. 179)
- Author : Zafar Kaleem
- Publication : Zafar Kaleem (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.