mujhko saza-e-maut ka dhoka diya gaya
mujh ko sazā-e-maut kā dhoka diyā gayā
merā vajūd mujh meñ hī dafnā diyā gayā
bolo tumhārī riiḌh kī haDDī kahāñ ga.ī
kyuuñ tum ko zindagī kā tamāsha diyā gayā
āñkhoñ ko merī sach se bachāne kī fikr meñ
T v ke scrēn pe chipkā diyā gayā
sāzish na jaane kis kī baḌī kāmyāb hai
har shaḳhs apne aap meñ bhaTkā diyā gayā
lahje meñ sach kā zuhūr ugalne kā jurm thā
merī ġhazal ko dhuup meñ jhulsā diyā gayā
mujh ko saza-e-maut ka dhoka diya gaya
mera wajud mujh mein hi dafna diya gaya
bolo tumhaari riDh ki haDDi kahan gai
kyun tum ko zindagi ka tamasha diya gaya
aankhon ko meri sach se bachane ki fikr mein
T w ke screen pe chipka diya gaya
sazish na jaane kis ki baDi kaamyab hai
har shaKHs apne aap mein bhaTka diya gaya
lahje mein sach ka zuhur ugalne ka jurm tha
meri ghazal ko dhup mein jhulsa diya gaya
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.