mujhko shahi nahin taufiq-e-faqirana de
mujh ko shāhī nahīñ taufīq-e-faqīrāna de
rakh mujhe bazm meñ chāhe mujhe vīrāna de
bhar de bharnā hai agar ishq kā saudā sar meñ
mujh ko denā hai agar jur.at-e-rindāna de
āḳhirash had bhī hai īsār kī koī ki nahīñ
sham.a par jaan kahāñ tak koī parvāna de
maiñ haqīqat kī taheñ khol ke rakh saktā huuñ
mujh ko tartīb to dene koī afsāna de
ye na uTTheñge kabhī sat.h se apnī uupar
in ḳhirad vāloñ ko shah kitnī bhī dīvāna de
adl-o-insāf ravā taaki dobāra ho jaa.eñ
faisla karne na munsif ko bhī man-mānā de
tū jo chāhe to badal jaa.e jahāñ kī tasvīr
inhīñ shāhoñ ko jo ehsās-e-faqīhāna de
kis ko apnā kaheñ aur ġhair kaheñ kis ko 'nihāl'
de na apnā koī kuchh aur na begāna de
mujh ko shahi nahin taufiq-e-faqirana de
rakh mujhe bazm mein chahe mujhe virana de
bhar de bharna hai agar ishq ka sauda sar mein
mujh ko dena hai agar jurat-e-rindana de
aaKHirash had bhi hai isar ki koi ki nahin
shama par jaan kahan tak koi parwana de
main haqiqat ki tahen khol ke rakh sakta hun
mujh ko tartib to dene koi afsana de
ye na uTThenge kabhi sath se apni upar
in KHirad walon ko shah kitni bhi diwana de
adl-o-insaf rawa taki dobara ho jaen
faisla karne na munsif ko bhi man-mana de
tu jo chahe to badal jae jahan ki taswir
inhin shahon ko jo ehsas-e-faqihana de
kis ko apna kahen aur ghair kahen kis ko 'nihaal'
de na apna koi kuchh aur na begana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.