mujhko sukun nasib na dil ko qarar hai
mujh ko sukūñ nasīb na dil ko qarār hai
barham-mizāj gardish-e-lail-o-nahār hai
rañgīniyāñ chaman kī nazar meñ na ā.eñgī
merī nigāh-e-shauq meñ rashk-e-bahār hai
ye kaun sā maqām-e-mohabbat hai ai junūñ
ab to ḳhayāl-e-aish tasavvur pe baar hai
dāmāñ bhī tār-tār garebāñ bhī chāk-chāk
josh-e-junūñ hai āmad-e-fasl-e-bahār hai
'muztar' junūn-e-ishq kī tauqīr dekhiye
har ḳhaar apne pā-e-junūñ pe nisār hai
mujh ko sukun nasib na dil ko qarar hai
barham-mizaj gardish-e-lail-o-nahaar hai
ranginiyan chaman ki nazar mein na aaengi
meri nigah-e-shauq mein rashk-e-bahaar hai
ye kaun sa maqam-e-mohabbat hai ai junun
ab to KHayal-e-aish tasawwur pe bar hai
daman bhi tar-tar gareban bhi chaak-chaak
josh-e-junun hai aamad-e-fasl-e-bahaar hai
'muztar' junun-e-ishq ki tauqir dekhiye
har KHar apne pa-e-junun pe nisar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.