mujhko tanha jo pa rahi hai raat
mujh ko tanhā jo pā rahī hai raat
ḳhauf se sahmī jā rahī hai raat
kis kī yādoñ kī chāñdnī chaTkī
kis liye jagmagā rahī hai raat
kaun yaad aa gayā hai pichhle pahar
jaate jaate phir aa rahī hai raat
har taraf hai sukūt-e-ġham taarī
dāstāñ kyā sunā rahī hai raat
ġham-zada dil hai aur bhī ġhamgīñ
giit kyā gungunā rahī hai raat
dil ke sahrā meñ zaḳhm khilte haiñ
dard kaisā jagā rahī hai raat
kitne sunsān rāste haiñ 'matīn'
kitnī chup-chāp jā rahī hai raat
mujh ko tanha jo pa rahi hai raat
KHauf se sahmi ja rahi hai raat
kis ki yaadon ki chandni chaTki
kis liye jagmaga rahi hai raat
kaun yaad aa gaya hai pichhle pahar
jate jate phir aa rahi hai raat
har taraf hai sukut-e-gham tari
dastan kya suna rahi hai raat
gham-zada dil hai aur bhi ghamgin
git kya gunguna rahi hai raat
dil ke sahra mein zaKHm khilte hain
dard kaisa jaga rahi hai raat
kitne sunsan raste hain 'matin'
kitni chup-chap ja rahi hai raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.