mujhko tanhaiyon se pyar bhi hai
mujh ko tanhā.iyoñ se pyaar bhī hai
tere aane kā intizār bhī hai
tū mujhe bevafā sā lagtā hai
tere va.ade pe e'tibār bhī hai
muddatoñ ba.ad sar hai sajde meñ
be-qarārī bhī hai qarār bhī hai
jis ne merā sukūn chhīnā hai
merā dushman bhī merā yaar bhī hai
kis liye yuuñ udaas baiThe ho
apnā ghar bhī hai kārobār bhī hai
tū bhī kuchh badlā badlā sā hai 'ḳhalīl'
merī āñkhoñ meñ kuchh ḳhumār bhī hai
mujh ko tanhaiyon se pyar bhi hai
tere aane ka intizar bhi hai
tu mujhe bewafa sa lagta hai
tere wade pe e'tibar bhi hai
muddaton baad sar hai sajde mein
be-qarari bhi hai qarar bhi hai
jis ne mera sukun chhina hai
mera dushman bhi mera yar bhi hai
kis liye yun udas baiThe ho
apna ghar bhi hai karobar bhi hai
tu bhi kuchh badla badla sa hai 'KHalil'
meri aankhon mein kuchh KHumar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.