mujhko tere sath apni zindagi achchhi lage hai
mujh ko tere saath apnī zindagī achchhī lage hai
jaise bande ko ḳhudā kī bandagī achchhī lage hai
mehnatāna yā taraqqī yā vazīfa kuchh nahīñ par
ham ko tere hijr kī ye naukrī achchhī lage hai
sāmne hai yaar kī tasvīr to ḳhush-hāl hai dil
aañkh ko husn-e-sahar kī raushnī achchhī lage hai
baat aage ab chale shāyad hamārī zindagī se
ek laḌkī ko hamārī shā'irī achchhī lage hai
jis tarah andhe ko lāThī chāhiye hai Thiik vaise
mujh ko duniyā meñ tirī maujūdgī achchhī lage hai
mujh ko tere sath apni zindagi achchhi lage hai
jaise bande ko KHuda ki bandagi achchhi lage hai
mehnatana ya taraqqi ya wazifa kuchh nahin par
hum ko tere hijr ki ye naukri achchhi lage hai
samne hai yar ki taswir to KHush-haal hai dil
aankh ko husn-e-sahar ki raushni achchhi lage hai
baat aage ab chale shayad hamari zindagi se
ek laDki ko hamari sha'iri achchhi lage hai
jis tarah andhe ko laThi chahiye hai Thik waise
mujh ko duniya mein teri maujudgi achchhi lage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.